aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho

Rajab Ali Beg Suroor

lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho

Rajab Ali Beg Suroor

MORE BYRajab Ali Beg Suroor

    lāzim hai soz-e-ishq shola ayaañ na ho

    jal-bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuāñ na ho

    zaḳhm-e-jigar kisī sūrat vahāñ na ho

    paikān-e-yār is meñ jo shakl-e-zabāñ na ho

    allāh re be-hisī ki jo dariyā meñ ġharq hoñ

    tālāb tarah kabhī paanī ravāñ na ho

    gul ḳhanda-zan hai chahchahe kartī hai andalīb

    phailī huī chaman meñ kahīñ zāfarāñ na ho

    bhāgo yahāñ se ye dil-e-nālāñ hai sadā

    bahke ho yaaro ye jaras-e-kārvāñ na ho

    hastī adam se hai mirī vahshat ik shalañg

    ai zulf-e-yār paañv beḌiyāñ na ho

    lenā bajā.e fātiha turbat pe nām-e-yār

    marne pe ye ḳhayāl hai vo bad-gumāñ na ho

    naaqa chalā hai najd meñ lailā be-mahār

    majnūñ ban paḌegī agar sār-bāñ na ho

    chāloñ se charḳh ye mirā azm hai 'surūr'

    is sarzamīñ pe jā.ūñ jahāñ āsmāñ na ho

    lazim hai soz-e-ishq ka shola ayan na ho

    jal-bujhiye is tarah se ki mutlaq dhuan na ho

    zaKHm-e-jigar ka wa kisi surat wahan na ho

    paikan-e-yar is mein jo shakl-e-zaban na ho

    allah re be-hisi ki jo dariya mein gharq hon

    talab ki tarah kabhi pani rawan na ho

    gul KHanda-zan hai chahchahe karti hai andalib

    phaili hui chaman mein kahin zafaran na ho

    bhago yahan se ye dil-e-nalan ki hai sada

    bahke ho yaro ye jaras-e-karwan na ho

    hasti adam se hai meri wahshat ki ek shalang

    ai zulf-e-yar panw ki tu beDiyan na ho

    lena bajae fatiha turbat pe nam-e-yar

    marne pe ye KHayal hai wo bad-guman na ho

    naqa chala hai najd mein laila ka be-mahaar

    majnun ki ban paDegi agar sar-ban na ho

    chaalon se charKH ki ye mera azm hai 'surur'

    is sarzamin pe jaun jahan aasman na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now