Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab-e-KHamosh ko arman-e-guftugu hi sahi

Saba Naqvi

lab-e-KHamosh ko arman-e-guftugu hi sahi

Saba Naqvi

MORE BYSaba Naqvi

    lab-e-ḳhamosh ko armān-e-guftugū sahī

    jigar meñ hausla-e-arz-e-ārzū sahī

    asar qubūl hai mujh ko badaltī qadroñ

    rag-e-hayāt meñ aslāf lahū sahī

    namāz-e-ishq adā ho rahī hai maqtal meñ

    ye pur-ḳhulūs ibādat hai be-vuzū sahī

    use bhī ḳhauf hai gulshan meñ zard mausam

    vo surḳh phuul mānind sho.ala-rū sahī

    junūn-e-ishq ke lashkar se haar jā.egī

    sipāh-e-hosh-o-ḳhirad laakh jañg-jū sahī

    vo merī tishnagī-e-dil bujhā nahīñ saktā

    khanaktā jaam chhalaktā huā subū sahī

    maiñ ek harf-e-malāmat huuñ us ke dāman par

    vo merī paak mohabbat aabrū sahī

    mirī nigāh markaz nahīñ to kuchh bhī nahīñ

    vo ḳhud-pasand nigāhoñ meñ ḳhūb-rū sahī

    'sabā' ki shā.ir-e-ḳhush-fikr hai magar gumnām

    har ek us se hai vāqif vo ḳhush-gulū sahī

    lab-e-KHamosh ko arman-e-guftugu hi sahi

    jigar mein hausla-e-arz-e-arzu hi sahi

    asar qubul hai mujh ko badalti qadron ka

    rag-e-hayat mein aslaf ka lahu hi sahi

    namaz-e-ishq ada ho rahi hai maqtal mein

    ye pur-KHulus ibaadat hai be-wuzu hi sahi

    use bhi KHauf hai gulshan mein zard mausam ka

    wo surKH phul ki manind shoala-ru hi sahi

    junun-e-ishq ke lashkar se haar jaegi

    sipah-e-hosh-o-KHirad lakh jang-ju hi sahi

    wo meri tishnagi-e-dil bujha nahin sakta

    khanakta jam chhalakta hua subu hi sahi

    main ek harf-e-malamat hun us ke daman par

    wo meri pak mohabbat ki aabru hi sahi

    meri nigah ka markaz nahin to kuchh bhi nahin

    wo KHud-pasand nigahon mein KHub-ru hi sahi

    'saba' ki shair-e-KHush-fikr hai magar gumnam

    har ek us se hai waqif wo KHush-gulu hi sahi

    Source:

    Jamal-e-Fun (Pg. 94)

    • Author: Saba Naqvi
      • Publisher: Saba Naqvi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now