aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana

Dattatriya Kaifi

lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    lab-e-sāġhar se sun lo zāhido taqrīr-e-mai-ḳhāna

    shikast-e-tauba hai na.ī ta.amīr-e-mai-ḳhāna

    azal se us pe rahmat hai abad tak us pe rahmat ho

    raqam hai ḳhatt-e-jām-e-bāda meñ taqdīr-e-mai-ḳhāna

    to kyā ai zāhid-e-ḳhushk us azmat jaan saktā hai

    qalam se mauj-e-kausar ke khichī tasvīr-e-mai-ḳhāna

    ye mai-sajjāda rañgīñ-kun garat pīr-e-muġhāñ goyad

    ki dānā-e-rumūz-e-do-jahāñ hai pīr-e-mai-ḳhāna

    milā pāoge is silsila tasnīm-o-kausar se

    bahut tūl-o-tavīl ai shaiḳh hai zanjīr-e-mai-ḳhāna

    banā hai shīsha-e-mai sar-ba-sar ā.īna-e-mahshar

    barī zohd-o-riyā se hai javān-e-pīr-e-mai-ḳhāna

    saarī umr ab māthā ragaḌtā rah kaḌā ke kar

    na Taale se Tale ai shaiḳh ye ta.azīr-e-mai-ḳhāna

    dahā.ī sāqī-e-kausar ye haiñ nafs ke bande

    jo vasl-e-hūr ḳhātir kareñ tahqīr-e-mai-ḳhāna

    habāb-e-ḳhat-e-jām-o-qulqul-e-mīnā se sābit hai

    vo hai tasbīh-e-mai-ḳhāna ye hai takbīr-e-mai-ḳhāna

    girā jo ḳhisht-e-ḳhum par sar lab-e-kausar ne chūmā hai

    ki hai taqsīr-e-mai-ḳhāna meñ tauqīr-e-mai-ḳhāna

    na kyuuñ har qatra-e-mai mehr āñkhoñ taarā ho

    ki barq-e-tūr hai ik chamak tanvīr-e-mai-ḳhāna

    paḌī hai ik nazar jis par vo be-ḳhud ho gayā 'kaifī'

    nigāh-e-mast-e-sāqī meñ hai kyā tāsīr-e-mai-ḳhāna

    lab-e-saghar se sun lo zahido taqrir-e-mai-KHana

    shikast-e-tauba hi hai ya nai tamir-e-mai-KHana

    azal se us pe rahmat hai abad tak us pe rahmat ho

    raqam hai KHatt-e-jam-e-baada mein taqdir-e-mai-KHana

    to kya ai zahid-e-KHushk us ki azmat jaan sakta hai

    qalam se mauj-e-kausar ke khichi taswir-e-mai-KHana

    ye mai-sajjada rangin-kun garat pir-e-mughan goyad

    ki dana-e-rumuz-e-do-jahan hai pir-e-mai-KHana

    mila paoge is ka silsila tasnim-o-kausar se

    bahut tul-o-tawil ai shaiKH hai zanjir-e-mai-KHana

    bana hai shisha-e-mai sar-ba-sar aaina-e-mahshar

    bari zohd-o-riya se hai jawan-e-pir-e-mai-KHana

    tu sari umr ab matha ragaDta rah kaDa ke kar

    na Tale se Tale ai shaiKH ye tazir-e-mai-KHana

    dahai saqi-e-kausar ki ye hain nafs ke bande

    jo wasl-e-hur ki KHatir karen tahqir-e-mai-KHana

    habab-e-KHat-e-jam-o-qulqul-e-mina se sabit hai

    wo hai tasbih-e-mai-KHana ye hai takbir-e-mai-KHana

    gira jo KHisht-e-KHum par sar lab-e-kausar ne chuma hai

    ki hai taqsir-e-mai-KHana hi mein tauqir-e-mai-KHana

    na kyun har qatra-e-mai mehr ki aankhon ka tara ho

    ki barq-e-tur ki hai ek chamak tanwir-e-mai-KHana

    paDi hai ek nazar jis par wo be-KHud ho gaya 'kaifi'

    nigah-e-mast-e-saqi mein hai kya tasir-e-mai-KHana

    Source:

    Waridat (Pg. 450)

    • Author: Dattatriya Kaifi
      • Edition: 1941
      • Publisher: Measures Ram Lal Soori and Son's, Anarkali, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now