Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka

Naji Shakir

lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka

Naji Shakir

MORE BYNaji Shakir

    lab-e-shīrīñ hai misrī yūsuf-e-sānī hai ye laḌkā

    na chhoḌegā merā dil chāh-e-kan.ānī hai ye laḌkā

    liyā bosa kisī ne aur garebāñ-gīr hai merā

    Dubāyā chāhtā hai sab ko tūfānī hai ye laḌkā

    sar uupar laal chīrā aur dahan juuñ ġhuncha-e-rañgīñ

    bahār-e-mudda.ā lāl-e-badḳhshānī hai ye laḌkā

    qayāmat hai jhamak baazū ke tāvīz-e-talā.ī

    hisār-e-husn kuuñ qaa.im kiyā baanī hai ye laḌkā

    hue rū-posh us husn dekh anjum ke juuñ ḳhūbāñ

    chamaktā hai ba-rañg-mehr nūrānī hai ye laḌkā

    qayāmat qāmat us jin ne dekhā so huā bismil

    magar sar qadam teġh-e-sulemānī hai ye laḌkā

    maiñ apnā jaan o dil qurbāñ karūñ uus par setī 'nājī'

    jise dekheñ siiñ hue iid ramzānī hai ye laḌkā

    lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka

    na chhoDega mera dil chah-e-kanani hai ye laDka

    liya bosa kisi ne aur gareban-gir hai mera

    Dubaya chahta hai sab ko tufani hai ye laDka

    sar upar lal chira aur dahan jun ghuncha-e-rangin

    bahaar-e-muddaa lal-e-badKHshani hai ye laDka

    qayamat hai jhamak bazu ke tawiz-e-talai ki

    hisar-e-husn kun qaim kiya bani hai ye laDka

    hue ru-posh us ka husn dekh anjum ke jun KHuban

    chamakta hai ba-rang-mehr nurani hai ye laDka

    qayamat qamat us ka jin ne dekha so hua bismil

    magar sar ta qadam tegh-e-sulemani hai ye laDka

    main apna jaan o dil qurban karun us par seti 'naji'

    jise dekhen sin hue id ramzani hai ye laDka

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now