Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab hain KHamosh zaban salb nigahen qaidi

Hina Rizwi

lab hain KHamosh zaban salb nigahen qaidi

Hina Rizwi

MORE BYHina Rizwi

    lab haiñ ḳhāmosh zabāñ salb nigāheñ qaidī

    zindagī naam ke zindāñ meñ haiñ sāñseñ qaidī

    kal jo khultīñ thiiñ mohabbat harārat kar

    ho ga.iiñ aaj vo be-bāq bāheñ qaidī

    koī āvāz na siskī na koī chīḳh kahīñ

    dard mahbūs hai sahmī huī aaheñ qaidī

    do ghaḌī ko haqīqat ye bhulāne ke liye

    ḳhvāb dekhe koī kaise ki haiñ āñkheñ qaidī

    yaas ke shahr meñ ummīd-e-sahar kaun kare

    jab añdheroñ ne banā rakkhī hoñ rāteñ qaidī

    dasht-e-hastī hai darpesh safar muddat se

    be-nishāñ manzil-e-maqsūd hai rāheñ qaidī

    gulshan-e-zīst pe Daalā hai ḳhizāñ ne Derā

    kyā ḳhabar kis ke chaman haiñ bahāreñ qaidī

    ham gunahgār-e-mohabbat muāfī bhī nahīñ

    haath uThte nahīñ lab pe duā.eñ qaidī

    zaḳhm maazī ke 'hinā' rahte haiñ har dam taaza

    dil ke ik band darīche haiñ yādeñ qaidī

    lab hain KHamosh zaban salb nigahen qaidi

    zindagi nam ke zindan mein hain sansen qaidi

    kal jo khultin thin mohabbat ki hararat pa kar

    ho gain aaj wo be-baq si bahen qaidi

    koi aawaz na siski na koi chiKH kahin

    dard mahbus hai sahmi hui aahen qaidi

    do ghaDi ko hi haqiqat ye bhulane ke liye

    KHwab dekhe koi kaise ki hain aankhen qaidi

    yas ke shahr mein ummid-e-sahar kaun kare

    jab andheron ne bana rakkhi hon raaten qaidi

    dasht-e-hasti ka hai darpesh safar muddat se

    be-nishan manzil-e-maqsud hai rahen qaidi

    gulshan-e-zist pe Dala hai KHizan ne Dera

    kya KHabar kis ke chaman ki hain bahaaren qaidi

    hum gunahgar-e-mohabbat ki muafi bhi nahin

    hath uThte hi nahin lab pe duaen qaidi

    zaKHm mazi ke 'hina' rahte hain har dam taza

    dil ke ek band dariche ki hain yaaden qaidi

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now