Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho

Tafzeel Ahmad

lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho

Tafzeel Ahmad

MORE BYTafzeel Ahmad

    lab-e-mantiq rahe koī na chashm-e-lan-tarānī ho

    zamīñ phir se murattab ho falak par nazar-e-sānī ho

    abhī tak ham ne jo māñgā tire shāyāñ nahīñ māñgā

    sikhā de ham ko kun kahnā jo terī mehrbānī ho

    ḳhas-e-be-mājrā haiñ ḳhaar be-bāzār haiñ to kyā

    numū-shahkār ham bhī haiñ hamārī bhī kisānī ho

    mileñge dhuup maarī chaTānoñ meñ bhī ḳhvāb-e-nam

    koī ḳhushkī nahīñ aisī jahāñ tah meñ na paanī ho

    lahū ko bhī tanaffus ravāñ rakhtā hai ḳhaliyoñ meñ

    bahe sahrā meñ bhī kashtī agar zor-e-duḳhānī ho

    baḌā surḳhāb par niklā badan ḳhūñ-chakāñ rahnā

    shafaq sayyāh lāzim thī rañgat arġhavānī ho

    taḳhātub ke liye 'tafzīl' abjad mere hāzir haiñ

    koī naqqāra-ḳhāna ho ki bait be-zabānī ho

    lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho

    zamin phir se murattab ho falak par nazar-e-sani ho

    abhi tak hum ne jo manga tere shayan nahin manga

    sikha de hum ko kun kahna jo teri mehrbani ho

    KHas-e-be-majra hain KHar be-bazar hain to kya

    numu-shahkar hum bhi hain hamari bhi kisani ho

    milenge dhup ki mari chaTanon mein bhi KHwab-e-nam

    koi KHushki nahin aisi jahan tah mein na pani ho

    lahu ko bhi tanaffus hi rawan rakhta hai KHaliyon mein

    bahe sahra mein bhi kashti agar zor-e-duKHani ho

    baDa surKHab par nikla badan ka KHun-chakan rahna

    shafaq sayyah ki lazim thi rangat arghawani ho

    taKHatub ke liye 'tafzil' abjad mere hazir hain

    koi naqqara-KHana ho ki bait be-zabani ho

    Source:

    Teksaal (Pg. 74)

    • Author: Tafzeel Ahmad
      • Edition: 2016
      • Publisher: kasauti Publication
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now