Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lab pe nam aa gaya saudai ka

Raza Amrohvi

lab pe nam aa gaya saudai ka

Raza Amrohvi

MORE BYRaza Amrohvi

    lab pe naam aa gayā saudā.ī

    shukriya hausla-afzā.ī

    ġhuncha-o-gul meñ mah-o-anjum meñ

    jalva dekhā tirī ra.anā.ī

    be-niyāzī huī zāhir terī

    naam raushan huā shaidā.ī

    jo diyā had se fuzūñ ne diyā

    haq adā kar diyā āqā.ī

    ai junūñ ḳhār-e-muġhīlāñ meñ

    lutf hai bādiya-paimā.ī

    terī rusvā.ī na ho duniyā meñ

    mujh ko ḳhadsha nahīñ rusvā.ī

    merā har sher 'razā' un ke liye

    aa.ina anjuman-ārā.ī

    lab pe nam aa gaya saudai ka

    shukriya hausla-afzai ka

    ghuncha-o-gul mein mah-o-anjum mein

    jalwa dekha teri ranai ka

    be-niyazi hui zahir teri

    nam raushan hua shaidai ka

    jo diya had se fuzun tu ne diya

    haq ada kar diya aaqai ka

    ai junun KHar-e-mughilan mein hi

    lutf hai baadiya-paimai ka

    teri ruswai na ho duniya mein

    mujh ko KHadsha nahin ruswai ka

    mera har sher 'raza' un ke liye

    aaina anjuman-arai ka

    Source:

    Qindeel (Pg. 37)

    • Author: Raza Amrohvi
      • Publisher: Raza Amrohvi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now