Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

labon ki jumbish nawa-e-bulbul hai shoKH lahja tera qayamat

Zakir Khan Zakir

labon ki jumbish nawa-e-bulbul hai shoKH lahja tera qayamat

Zakir Khan Zakir

MORE BYZakir Khan Zakir

    laboñ jumbish navā-e-bulbul hai shoḳh lahja tirā qayāmat

    darāz qāmat ġhazāl āñkheñ gulāb chehra tirā qayāmat

    ghaTā.eñ zulfeñ ḳhumār palkeñ mahīn āñchal pe māh-o-anjum

    suhānī rātoñ chāñdnī meñ hai chhat pe jalva tirā qayāmat

    zamīn-e-dil par adā-e-dilbar chalā.e nashtar uThā.e mahshar

    nazar uThānā nazar jhukānā har ek harba tirā qayāmat

    guloñ laalī shagufta aariz pe fasl-e-gul safīr Thahrī

    nashīle lab halāvatoñ se dhaḌaktā naġhma tirā qayāmat

    jo ne khole havā meñ gesū mahak uThā hai tamām gulshan

    hasīn sumbul ke darmiyāñ hai damaktā chehra tirā qayāmat

    tire shabistāñ ke goshe goshe meñ raushnī zuhūr har-pal

    aqīdatoñ ke diye se raushan nafīs kamra tirā qayāmat

    kañval badan par machaltī sāñseñ chhalakte sāġhar tarjumāñ hai

    gudāz bāñheñ surāhī gardan sarāpā naqsha tirā qayāmat

    vafā.eñ mujh se jafā.eñ mujh se adā.eñ har-pal yahī haiñ 'zākir'

    kabhī hai ġhamza kabhī hai ishva ye naaz naḳhra tirā qayāmat

    labon ki jumbish nawa-e-bulbul hai shoKH lahja tera qayamat

    daraaz qamat ghazal aankhen gulab chehra tera qayamat

    ghaTaen zulfen KHumar palken mahin aanchal pe mah-o-anjum

    suhani raaton ki chandni mein hai chhat pe jalwa tera qayamat

    zamin-e-dil par ada-e-dilbar chalae nashtar uThae mahshar

    nazar uThana nazar jhukana har ek harba tera qayamat

    gulon ki lali shagufta aariz pe fasl-e-gul ki safir Thahri

    nashile lab ki halawaton se dhaDakta naghma tera qayamat

    jo tu ne khole hawa mein gesu mahak uTha hai tamam gulshan

    hasin sumbul ke darmiyan hai damakta chehra tera qayamat

    tere shabistan ke goshe goshe mein raushni ka zuhur har-pal

    aqidaton ke diye se raushan nafis kamra tera qayamat

    kanwal badan par machalti sansen chhalakte saghar ki tarjuman hai

    gudaz banhen surahi gardan sarapa naqsha tera qayamat

    wafaen mujh se jafaen mujh se adaen har-pal yahi hain 'zakir'

    kabhi hai ghamza kabhi hai ishwa ye naz naKHra tera qayamat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now