labon pe muhr ka elan bhi nahin samjha
laboñ pe muhr kā e'lān bhī nahīñ samjhā
mirī ḳhamoshī kā nuqsān bhī nahīñ samjhā
barābarī kā to sochā talak nahīñ maiñ ne
magar janāb ne insān bhī nahīñ samjhā
ḳhudā se 'ishq kiyā is qadar ḳhamoshī se
hamārī chaal ko shaitān bhī nahīñ samjhā
hamārī naav kā mañjhdār hī muqaddar hai
agar vo hijr ke daurān bhī nahīñ samjhā
'ajīb zabt dikhāyā thā jaane vaale ko
vo sarsarī sā pareshān bhī nahīñ samjhā
labon pe muhr ka e'lan bhi nahin samjha
meri KHamoshi ka nuqsan bhi nahin samjha
barabari ka to socha talak nahin main ne
magar janab ne insan bhi nahin samjha
KHuda se 'ishq kiya is qadar KHamoshi se
hamari chaal ko shaitan bhi nahin samjha
hamari naw ka manjhdar hi muqaddar hai
agar wo hijr ke dauran bhi nahin samjha
'ajib zabt dikhaya tha jaane wale ko
wo sarsari sa pareshan bhi nahin samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.