Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

labon pe muskan dil mein dahshat ajib KHilqat meri ghazala

A.R Sahil 'Aleeg'

labon pe muskan dil mein dahshat ajib KHilqat meri ghazala

A.R Sahil 'Aleeg'

MORE BYA.R Sahil 'Aleeg'

    laboñ pe muskān dil meñ dahshat ajiib ḳhilqat mirī ġhazāla

    ḳhatā pe apne nahīñ kare hai kabhī nadāmat mirī ġhazāla

    so jaisā chāhā banāyā rab ne badan ḳhāka ye us marzī

    har ek Dhab meñ haiñ apne apne kasāo kasrat mirī ġhazāla

    qarār de de mujhe kāfir na chhūT pā.egī ye ibādat

    rahegī qadmoñ meñ sirf tere ye merī jannat mirī ġhazāla

    nahīñ hai mumkin ki kaT sake ye ḳhudā likkhā ye sochtā huuñ

    vo mil kahe mujh se kuchh to merī badal de qismat mirī ġhazāla

    anā se māñgūñ jahāñ se māñgūñ maiñ tujh ko kis kis ḳhudā se māñgūñ

    banī hai mere jān-o-jī saḳht aafat mirī ġhazāla

    maiñ chāhtā huuñ banā le 'sāhil' mujhe apnī zindagī

    nahīñ hai mujh ko zamāne-bhar se koī bhī hājat mirī ġhazāla

    labon pe muskan dil mein dahshat ajib KHilqat meri ghazala

    KHata pe apne nahin kare hai kabhi nadamat meri ghazala

    so jaisa chaha banaya rab ne badan ka KHaka ye us ki marzi

    har ek Dhab mein hain apne apne kasao kasrat meri ghazala

    qarar de de mujhe tu kafir na chhuT paegi ye ibaadat

    rahegi qadmon mein sirf tere ye meri jannat meri ghazala

    nahin hai mumkin ki kaT sake ye KHuda ka likkha ye sochta hun

    wo mil kahe mujh se kuchh to meri badal de qismat meri ghazala

    ana se mangun jahan se mangun main tujh ko kis kis KHuda se mangun

    bani hai mere hi jaan-o-ji ki tu saKHt aafat meri ghazala

    main chahta hun bana le 'sahil' mujhe tu apni hi zindagi ka

    nahin hai mujh ko zamane-bhar se koi bhi hajat meri ghazala

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now