Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laDkiyan ghar mein nikhar aai hain phulon ki tarah

Zafar Aziz

laDkiyan ghar mein nikhar aai hain phulon ki tarah

Zafar Aziz

MORE BYZafar Aziz

    laḌkiyāñ ghar meñ nikhar aa.ī haiñ phūloñ tarah

    vaqt Thahrā hai magar sūkhī babūloñ tarah

    dil to kahtā hai ki har haath pe bai'at kar leñ

    log yuuñ raah meñ milte haiñ rasūloñ tarah

    chhat ko thāme raho is shahr meñ insān abhī

    sar uThā.e hue phirte haiñ bagūloñ tarah

    terī shartoñ pe mujhe zindagī manzūr nahīñ

    maiñ ne chāhā hai tujhe apne usūloñ tarah

    dekh lenā mirī tasvīr ko hasrat se sahī

    yaad aa.uuñ jo kabhī maiñ tujhe phūloñ tarah

    kal tārīḳh tumheñ aisī sazā degī 'zafar'

    ghar meñ laTkā diye jāoge maqūloñ tarah

    laDkiyan ghar mein nikhar aai hain phulon ki tarah

    waqt Thahra hai magar sukhi babulon ki tarah

    dil to kahta hai ki har hath pe bai'at kar len

    log yun rah mein milte hain rasulon ki tarah

    chhat ko thame raho is shahr mein insan abhi

    sar uThae hue phirte hain bagulon ki tarah

    teri sharton pe mujhe zindagi manzur nahin

    main ne chaha hai tujhe apne usulon ki tarah

    dekh lena meri taswir ko hasrat se sahi

    yaad aaun jo kabhi main tujhe phulon ki tarah

    kal ki tariKH tumhein aisi saza degi 'zafar'

    ghar mein laTka diye jaoge maqulon ki tarah

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 227)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now