aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laDkiyan maon jaise muqaddar kyon rakhti hain

Ishrat Afreen

laDkiyan maon jaise muqaddar kyon rakhti hain

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    laḌkiyāñ maaoñ jaise muqaddar kyoñ rakhtī haiñ

    tan sahrā aur aañkh samundar kyoñ rakhtī haiñ

    aurteñ apne dukh virāsat kis ko deñgī

    sandūqoñ meñ band ye zevar kyoñ rakhtī haiñ

    vo jo aap puujī jaane ke laa.eq thiiñ

    champā poroñ meñ patthar kyoñ rakhtī haiñ

    vo jo rahī haiñ ḳhālī peT aur nañge paañv

    bachā bachā kar sar chādar kyoñ rakhtī haiñ

    band havelī meñ jo sānahe ho jaate haiñ

    un ḳhabar dīvāreñ aksar kyoñ rakhtī haiñ

    sub.h-e-visāl kirneñ ham se pūchh rahī haiñ

    rāteñ apne haath meñ ḳhanjar kyoñ rakhtī haiñ

    laDkiyan maon jaise muqaddar kyon rakhti hain

    tan sahra aur aankh samundar kyon rakhti hain

    aurten apne dukh ki wirasat kis ko dengi

    sanduqon mein band ye zewar kyon rakhti hain

    wo jo aap hi puji jaane ke laeq thin

    champa si poron mein patthar kyon rakhti hain

    wo jo rahi hain KHali peT aur nange panw

    bacha bacha kar sar ki chadar kyon rakhti hain

    band haweli mein jo sanahe ho jate hain

    un ki KHabar diwaren aksar kyon rakhti hain

    subh-e-visal ki kirnen hum se puchh rahi hain

    raaten apne hath mein KHanjar kyon rakhti hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now