Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz-dar-lafz maani pe maani nikle

Reshma Zaidi

lafz-dar-lafz maani pe maani nikle

Reshma Zaidi

MORE BYReshma Zaidi

    lafz-dar-lafz ma.ānī pe ma.ānī nikle

    saath ash.ār ke kuchh dard-e-nihānī nikle

    jo zabāñ tak pe na thā us pe amal kar Daalā

    aur va.ade the jo sab un ke zabānī nikle

    mere aañsū nazar aa sakte nahīñ duniyā ko

    ḳhūn-e-dil ban ke bhī gar aañkh paanī nikle

    dard yakjā the mire dil ko kiye the raushan

    dard mere the jo sab kāh-kashānī nikle

    zor-e-girya thā vo dil ki nahīñ rok sakī

    ashk āñkhoñ se magar bahr-e-ravānī nikle

    maiñ bhī ḳhushiyoñ ko chunūñgī sabhī logoñ tarah

    shāḳh-e-ummīd pe gar raat raanī nikle

    umr-bhar na sazā koī kisī ko de yahāñ

    muntazir ban ke kisī na javānī nikle

    ġham tire aise ki tujh pe jachenge 'resham'

    vo insāñ ki tirā koī na saanī nikle

    lafz-dar-lafz maani pe maani nikle

    sath ashaar ke kuchh dard-e-nihani nikle

    jo zaban tak pe na tha us pe amal kar Dala

    aur wade the jo sab un ke zabani nikle

    mere aansu nazar aa sakte nahin duniya ko

    KHun-e-dil ban ke bhi gar aankh ka pani nikle

    dard yakja the mere dil ko kiye the raushan

    dard mere the jo sab kah-kashani nikle

    zor-e-girya tha wo dil ka ki nahin rok saki

    ashk aankhon se magar bahr-e-rawani nikle

    main bhi KHushiyon ko chunungi sabhi logon ki tarah

    shaKH-e-ummid pe gar raat ki rani nikle

    umr-bhar ki na saza koi kisi ko de yahan

    muntazir ban ke kisi ki na jawani nikle

    gham tere aise ki tujh pe hi jachenge 'resham'

    tu wo insan ki tera koi na sani nikle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now