Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na Dar

Akhtar Shaikh

lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na Dar

Akhtar Shaikh

MORE BYAkhtar Shaikh

    lafz likhnā hai to phir kāġhaz niyyat se na Dar

    is qadar iz.hār be-ma.anaviyyat se na Dar

    dekh! gulshan meñ abhī shāḳh-e-tahayyur bāñjh hai

    phuul honā hai to khilne aziyyat se na Dar

    hamrah-e-mausam safar bastiyoñ ke darmiyāñ

    naqsh-bar-dīvār bārish vasiyyat se na Dar

    ek halkī sadā to bin zabāñ rakhtā hai

    chaar jānib ḳhāmushī aksariyyat se na Dar

    āsmāñ ik din patiñgā ho sar-e-sham-e-zamīñ

    mom kar apne lahū ko jal aziyyat se na Dar

    lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na Dar

    is qadar izhaar ki be-manawiyyat se na Dar

    dekh! gulshan mein abhi shaKH-e-tahayyur banjh hai

    phul hona hai to khilne ki aziyyat se na Dar

    hamrah-e-mausam safar ki bastiyon ke darmiyan

    naqsh-bar-diwar barish ki wasiyyat se na Dar

    ek halki si sada to bin zaban rakhta hai tu

    chaar jaanib KHamushi ki aksariyyat se na Dar

    aasman ek din patinga ho sar-e-sham-e-zamin

    mom kar apne lahu ko jal aziyyat se na Dar

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 304)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now