Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz mil jaen to ash’ar ki tashkil karun

Ambar Abid

lafz mil jaen to ash’ar ki tashkil karun

Ambar Abid

MORE BYAmbar Abid

    lafz mil jaa.eñ to ash’ār tashkīl karūñ

    varna kis tarah ḳhayālāt tarsīl karūñ

    haq mohabbat kahāñ hotā hai marne se adā

    haq to ye hai ki tujhe ruuh meñ tahlīl karūñ

    aap to apnī anā se nahīñ nikle bāhar

    mujh se kahte haiñ ki maiñ nazriya tabdīl karūñ

    tishnagī to hai mirī zaat meñ sahrā tarah

    kaise sūkhī huī āñkhoñ ko bhalā jhiil karūñ

    jab anā hai mirī rag rag meñ sarāyat 'ambar'

    kis tarah us ke har ik hukm ta.amīl karūñ

    lafz mil jaen to ash’ar ki tashkil karun

    warna kis tarah KHayalat ki tarsil karun

    haq mohabbat ka kahan hota hai marne se ada

    haq to ye hai ki tujhe ruh mein tahlil karun

    aap to apni ana se nahin nikle bahar

    mujh se kahte hain ki main nazriya tabdil karun

    tishnagi to hai meri zat mein sahra ki tarah

    kaise sukhi hui aankhon ko bhala jhil karun

    jab ana hai meri rag rag mein sarayat 'ambar'

    kis tarah us ke har ek hukm ki tamil karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now