Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz-o-mani ke samundar ka safar hain kuchh log

Shams Ramzi

lafz-o-mani ke samundar ka safar hain kuchh log

Shams Ramzi

MORE BYShams Ramzi

    lafz-o-ma.anī ke samundar safar haiñ kuchh log

    yaar is daur meñ bhī ahl-e-nazar haiñ kuchh log

    ye haqīqat hai ki bachchoñ zarūrat ke liye

    sūrat-e-silsila-e-gard-e-safar haiñ kuchh log

    ham ne to un se kabhī haq ke sivā kuchh na sunā

    jurm kyā un hai kyuuñ shahr-badar haiñ kuchh log

    nuur chehre pe to bātoñ meñ mahak hotī hai

    chāñd aks haiñ ḳhushbū nagar haiñ kuchh log

    kitne pāgal haiñ ki raj.at ko taraqqī samjhe

    āsmānoñ taraf mahv-e-safar haiñ kuchh log

    lafz-o-mani ke samundar ka safar hain kuchh log

    yar is daur mein bhi ahl-e-nazar hain kuchh log

    ye haqiqat hai ki bachchon ki zarurat ke liye

    surat-e-silsila-e-gard-e-safar hain kuchh log

    hum ne to un se kabhi haq ke siwa kuchh na suna

    jurm kya un ka hai kyun shahr-badar hain kuchh log

    nur chehre pe to baaton mein mahak hoti hai

    chand ka aks hain KHushbu ka nagar hain kuchh log

    kitne pagal hain ki rajat ko taraqqi samjhe

    aasmanon ki taraf mahw-e-safar hain kuchh log

    Source:

    Gubar-e-shams (Pg. 67)

    • Author: Shams Ramzi
      • Edition: 1997
      • Publisher: Urdu Tahzeeb, Delhi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now