Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafz to milte nahin izhaar-e-mahsusat ko

Talib Baghpati

lafz to milte nahin izhaar-e-mahsusat ko

Talib Baghpati

MORE BYTalib Baghpati

    Interesting Fact

    April 1926

    lafz to milte nahīñ iz.hār-e-mahsūsāt ko

    ab vo samjheñ na samjheñ mere dil baat ko

    dar-haqīqat tuur par muusā ko sūjhī nahīñ

    varna āñkheñ jazb kar letīñ tajalliyāt ko

    merī aage se haTā lo to ye mub.ham kitāb

    palaTne do mujhe aurāq-e-maujūdāt ko

    haa.e mat pūchho marīz-e-ġham kaifīyāt-e-karb

    niiñd kyā ġhaflat ho jaatī pichhlī raat ko

    merī aahoñ meñ ba-qaul un ke agar tāqat nahīñ

    charḳh se phir kyuuñ sitāre TūTte haiñ raat ko

    pahle to dil meñ ḳhudā jaane kidhar se aa chhupe

    phir sitam ye hai ubhārā mere mahsūsāt ko

    tak rahā hai phir koī hasrat se sū-e-asmāñ

    phir kahīñ jazba na aa jaa.e tajalliyāt ko

    muñh añdhere jab jahāñ sotā hai mad-hoshī niiñd

    maiñ sunā kartā huuñ sāz-e-rūh ke naġhmāt ko

    chāñdnī ho añdherī mujh ko 'tālib' vāsta

    maiñ to aafat samajhtā huuñ hamesha raat ko

    lafz to milte nahin izhaar-e-mahsusat ko

    ab wo samjhen ya na samjhen mere dil ki baat ko

    dar-haqiqat tur par musa ko sujhi hi nahin

    warna aankhen jazb kar letin tajalliyat ko

    meri aage se haTa lo ya to ye mubham kitab

    ya palaTne do mujhe auraq-e-maujudat ko

    hae mat puchho mariz-e-gham ki kaifiyat-e-karb

    nind kya ghaflat si ho jati hi pichhli raat ko

    meri aahon mein ba-qaul un ke agar taqat nahin

    charKH se phir kyun sitare TuTte hain raat ko

    pahle to dil mein KHuda jaane kidhar se aa chhupe

    phir sitam ye hai ubhaara mere mahsusat ko

    tak raha hai phir koi hasrat se su-e-asman

    phir kahin jazba na aa jae tajalliyat ko

    munh andhere jab jahan sota hai mad-hoshi ki nind

    main suna karta hun saz-e-ruh ke naghmat ko

    chandni ho ya andheri mujh ko 'talib' wasta

    main to aafat hi samajhta hun hamesha raat ko

    Source:

    Shakh-e-Nabat (Pg. 154)

    • Author: Talib Baghpati
      • Publisher: Munshi Har Parshad
      • Year of Publication: 1936
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now