Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi

Abdul Ahad Saaz

lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    lafzoñ ke sahrā meñ kyā ma.anī ke sarāb dikhānā bhī

    koī suḳhan sahābī koī naġhma naḳhlistāna bhī

    ik muddat se hosh-o-ḳhabar ḳhāmoshī raa.ij hai yahāñ

    kaash dayār-e-asr meñ gūñje koī sadā mastāna bhī

    nape-tule āhañg pe kab tak sambhal sambhal kar raqs kareñ

    koī dhun dīvānī koī harakat majnūnānā bhī

    shahr se bāhar kohsāroñ ke biich ye Thahrā Thahrā din

    kitnā apnā lagtā hai aaj dil-e-begāna bhī

    ek tilismī raah fasīl-e-tan se navāh-e-jāñ tak hai

    jis khoj meñ kho jaao to mumkin hai jaanā bhī

    āgāhī ma.akūs safar hai dānish-gāh ke raste

    jis har jānā-pahchānā manzar hai an-jānā bhī

    bol vahī haiñ sur bhī vahī mizrāb jumbish badle to

    yās-o-alam ke tāroñ meñ muzmar hai ek tarāna bhī

    hāsil aur lā-hāsil par ab vaise bhī kiyā ġhaur kareñ

    aur chhalakne vaalā ho jab sāñsoñ paimāna bhī

    kitnī aag kashākash kitnī kitnā tahammul hai darkār

    'sāz' koī āsān nahīñ hai lafzoñ ko pighlānā bhī

    lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi

    koi suKHan sahabi koi naghma naKHlistana bhi

    ek muddat se hosh-o-KHabar ki KHamoshi raij hai yahan

    kash dayar-e-asr mein gunje koi sada mastana bhi

    nape-tule aahang pe kab tak sambhal sambhal kar raqs karen

    koi dhun diwani koi harakat majnunana bhi

    shahr se bahar kohsaron ke bich ye Thahra Thahra din

    kitna apna sa lagta hai aaj dil-e-begana bhi

    ek tilismi rah fasil-e-tan se nawah-e-jaan tak hai

    jis ki khoj mein kho jao to mumkin hai pa jaana bhi

    aagahi makus safar hai danish-gah ke raste ka

    jis ka har jaana-pahchana manzar hai an-jaana bhi

    bol wahi hain sur bhi wahi mizrab ki jumbish badle to

    yas-o-alam ke taron mein muzmar hai ek tarana bhi

    hasil aur la-hasil par ab waise bhi kiya ghaur karen

    aur chhalakne wala ho jab sanson ka paimana bhi

    kitni aag kashakash kitni kitna tahammul hai darkar

    'saz' koi aasan nahin hai lafzon ko pighlana bhi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz

    RECITATIONS

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz,

    Abdul Ahad Saaz

    lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi Abdul Ahad Saaz

    Source :
    • Book : Sargoshiyan Zamanoan ki (Pg. 113)
    • Author : Abdul Ahad Saaz
    • Publication : Adshot Publication (2003)
    • Edition : 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now