Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lafzon ko saja kar jo kahani likhna

Sadaf Jafri

lafzon ko saja kar jo kahani likhna

Sadaf Jafri

MORE BYSadaf Jafri

    lafzoñ ko sajā kar jo kahānī likhnā

    ho zikr lahū bhī to paanī likhnā

    ab aks-e-mohabbat bhī huā hai kamyāb

    is daur meñ hai kaisī girānī likhnā

    go yaad hai ab tak mujhe ġham mausam

    par Thiik nahīñ dil kahānī likhnā

    raftār-e-havā tez huī hai ki nahīñ

    ye dekh ke paanī ravānī likhnā

    piirī ke nagar meñ to hai kohrām bapā

    kis haal meñ hai shahr-e-javānī likhnā

    guzre hue din ho agar zikr 'sadaf'

    guzrī hai jo ik shaam suhānī likhnā

    lafzon ko saja kar jo kahani likhna

    ho zikr lahu ka bhi to pani likhna

    ab aks-e-mohabbat bhi hua hai kamyab

    is daur mein hai kaisi girani likhna

    go yaad hai ab tak mujhe gham ka mausam

    par Thik nahin dil ki kahani likhna

    raftar-e-hawa tez hui hai ki nahin

    ye dekh ke pani ki rawani likhna

    piri ke nagar mein to hai kohram bapa

    kis haal mein hai shahr-e-jawani likhna

    guzre hue din ka ho agar zikr 'sadaf'

    guzri hai jo ek sham suhani likhna

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 693)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now