lag hi nahin raha hai ki salon se dur hain
lag hī nahīñ rahā hai ki sāloñ se duur haiñ
ham āj-kal tumhāre ḳhayāloñ se duur haiñ
us ko ka.ī baras se nahīñ dekhā dostoñ
yā'nī ka.ī baras se ujāloñ se duur haiñ
us roz terā sar mire hāthoñ se duur thā
ye haath aaj tak tire bāloñ se duur haiñ
dekho hamāre dil meñ ujāle haiñ har taraf
ham is ke bāvajūd ujāloñ se duur haiñ
tū ham ko apne chāhne vāloñ meñ jāniyo
ham log tere chāhne vāloñ se duur haiñ
lag hi nahin raha hai ki salon se dur hain
hum aaj-kal tumhaare KHayalon se dur hain
us ko kai baras se nahin dekha doston
ya'ni kai baras se ujalon se dur hain
us roz tera sar mere hathon se dur tha
ye hath aaj tak tere baalon se dur hain
dekho hamare dil mein ujale hain har taraf
hum is ke bawajud ujalon se dur hain
tu hum ko apne chahne walon mein jaaniyo
hum log tere chahne walon se dur hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.