Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lag ja tu mere sina se darwaza ko kar band

Insha Allah Khan Insha

lag ja tu mere sina se darwaza ko kar band

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    lag mire siina se darvāza ko kar band

    de khol qabā apnī be-ḳhauf-o-ḳhatar band

    afsūn-e-nigah se tirī ai sāqī-e-bad-mast

    shīshe meñ huī misl-e-parī apnī nazar-band

    makḌāte hue phirte haiñ ham kūche meñ us ke

    kyā kījiye darvāza idhar band udhar band

    shāh-e-najaf naam ishāre meñ tirā luuñ

    ho jaa.e dam-e-naz.a zabāñ mere agar band

    aave vo agar yār-e-safar-karda to 'inshā'

    maiñ dauḌ ke kis lutf se khulvā.ūñ qamar-bañd

    lag ja tu mere sina se darwaza ko kar band

    de khol qaba apni ki be-KHauf-o-KHatar band

    afsun-e-nigah se teri ai saqi-e-bad-mast

    shishe mein hui misl-e-pari apni nazar-band

    makDate hue phirte hain hum kuche mein us ke

    kya kijiye darwaza idhar band udhar band

    ya shah-e-najaf nam ishaare mein tera lun

    ho jae dam-e-naza zaban mere agar band

    aawe wo agar yar-e-safar-karda to 'insha'

    main dauD ke kis lutf se khulwaun qamar-band

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 46)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now