Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laga hua hai har ek insan use lubhane ki koshishon mein

Sheeraz Khan

laga hua hai har ek insan use lubhane ki koshishon mein

Sheeraz Khan

MORE BYSheeraz Khan

    lagā huā hai har ek insāñ use lubhāne koshishoñ meñ

    laḌā.ī aapas meñ kar rahā hai bas us ko paane koshishoñ meñ

    udaas āñkhoñ meñ dikh rahā hai ki baat kuchh to satā rahī hai

    magar musalsal lagā huā hai vo muskurāne koshishoñ meñ

    bas ik dilāse se raat bhar meñ bhar gayā ḳhāk-dān puurā

    ye āḳhirī kash maiñ rahā huuñ tumheñ bhulāne koshishoñ meñ

    ye kaisā rasta hai tere aur mere darmiyāñ meñ ḳhudā jaane

    maiñ tujh se aur duur rahā huuñ qarīb aane koshishoñ meñ

    shauq se mujh se ruuTh lekin agar manā.ūñ to maan jaanā

    kahīñ maiñ ḳhud bhī na ruuTh jā.ūñ tujhe manāne koshishoñ meñ

    laga hua hai har ek insan use lubhane ki koshishon mein

    laDai aapas mein kar raha hai bas us ko pane ki koshishon mein

    udas aankhon mein dikh raha hai ki baat kuchh to sata rahi hai

    magar musalsal laga hua hai wo muskurane ki koshishon mein

    bas ek dilase se raat bhar mein hi bhar gaya KHak-dan pura

    ye aaKHiri kash main pi raha hun tumhein bhulane ki koshishon mein

    ye kaisa rasta hai tere aur mere darmiyan mein KHuda hi jaane

    main tujh se aur dur ja raha hun qarib aane ki koshishon mein

    tu shauq se mujh se ruTh lekin agar manaun to man jaana

    kahin main KHud bhi na ruTh jaun tujhe manane ki koshishon mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now