laga kar dil kisi se chhoD kar jaya nahin karte
lagā kar dil kisī se chhoḌ kar jaayā nahīñ karte
mohabbat karne vāloñ ko to taḌpāyā nahīñ karte
yahī tārīḳh kahtī hai yahī kirdār hai apnā
ham apne dushmanoñ par bhī sitam Dhāyā nahīñ karte
sharī'at bhī ye kahtī hai yahī tahzīb hai apnī
binā dastak kisī ke ghar meñ ham jaayā nahīñ karte
bharī mahfil meñ us ne ye kahā hai dekh kar mujh ko
yahāñ apne haiñ saare aao sharmāyā nahīñ karte
hamāre dil se jo ik baar utar jaate haiñ ai 'mehrū'
zabāñ par naam un kā ham kabhī laayā nahīñ karte
laga kar dil kisi se chhoD kar jaya nahin karte
mohabbat karne walon ko to taDpaya nahin karte
yahi tariKH kahti hai yahi kirdar hai apna
hum apne dushmanon par bhi sitam Dhaya nahin karte
shari'at bhi ye kahti hai yahi tahzib hai apni
bina dastak kisi ke ghar mein hum jaya nahin karte
bhari mahfil mein us ne ye kaha hai dekh kar mujh ko
yahan apne hain sare aao sharmaya nahin karte
hamare dil se jo ek bar utar jate hain ai 'mehru'
zaban par nam un ka hum kabhi laya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.