Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laga raha hun har ek dar pe aaina bazar

Qaus Siddiqui

laga raha hun har ek dar pe aaina bazar

Qaus Siddiqui

MORE BYQaus Siddiqui

    lagā rahā huuñ har ik dar pe aa.inā bāzār

    koī to dekhe sune daam boltā bāzār

    sajā to ḳhuub hai ab ke nayā nayā bāzār

    zamāna jaan to le kyā hai zā.iqa bāzār

    parā.e jaan qīmat faqat nazāra nahīñ

    ḳhudārā band ho har din hādsa bāzār

    yahī to hotā hai shīshe ke kārobār hashr

    ujaḌ gayā hai achānak harā-bharā bāzār

    shab-e-siyāh se ḳhā.if hai yuuñ mirī dīvār

    sajā ke baiThī hai āñgan meñ shaam bāzār

    bas ik tabassum-e-dil se ḳharīd liije ise

    jahāñ bhī jā.iye is jaañ hai khulā bāzār

    phir apne shor qīmat samajh sakegā 'qaus'

    na ḳhvāb dekh zarā Tahal ke aa bāzār

    laga raha hun har ek dar pe aaina bazar

    koi to dekhe sune dam bolta bazar

    saja to KHub hai ab ke naya naya bazar

    zamana jaan to le kya hai zaiqa bazar

    parae jaan ki qimat faqat nazara nahin

    KHudara band ho har din ka hadsa bazar

    yahi to hota hai shishe ke karobar ka hashr

    ujaD gaya hai achanak hara-bhara bazar

    shab-e-siyah se KHaif hai yun meri diwar

    saja ke baiThi hai aangan mein sham ka bazar

    bas ek tabassum-e-dil se KHarid lije ise

    jahan bhi jaiye is jaan ka hai khula bazar

    phir apne shor ki qimat samajh sakega 'qaus'

    na KHwab dekh zara ja Tahal ke aa bazar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now