aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho

Wajd Chughtai

lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho

Wajd Chughtai

MORE BYWajd Chughtai

    lagā.eñ aag dil meñ ki kuchh ujālā ho

    kisī bahāne to is ghar bol-bālā ho

    numūd-e-sub.h ko kaise kare jahāñ taslīm

    koī kiran ho kahīñ naam ko ujālā ho

    na tum mile na ye duniyā-e-ġham raas aa.ī

    tum batāo ki is ġham kyā izāla ho

    ajab ajab haiñ afvāheñ garm zindāñ meñ

    ajab nahīñ ki isī shab yahāñ ujālā ho

    phir us baat kaise yaqīn aa jaa.e

    vo jis baat andāz nirālā ho

    kashāñ kashāñ chalo ye ravish behtar hai

    kahīñ na zikr ho apnā na kuchh havāla ho

    lagaen aag hi dil mein ki kuchh ujala ho

    kisi bahane to is ghar ka bol-baala ho

    numud-e-subh ko kaise kare jahan taslim

    koi kiran ho kahin nam ko ujala ho

    na tum mile na ye duniya-e-gham hi ras aai

    tum hi batao ki is gham ka kya izala ho

    ajab ajab si hain afwahen garm zindan mein

    ajab nahin ki isi shab yahan ujala ho

    phir us ki baat ka kaise yaqin aa jae

    wo jis ki baat ka andaz hi nirala ho

    kashan kashan hi chalo ye rawish hi behtar hai

    kahin na zikr ho apna na kuchh hawala ho

    Source:

    Shikast-e-Qeemat-e-Dil (Pg. 140)

    • Author: Wajd Chughtai
      • Edition: 1984
      • Publisher: Sarosh Chughtai
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now