lagga na khate zawiye the KHadd-o-Khaal ke
laggā na khāte zāviye the ḳhadd-o-ḳhāl ke
dekhā hai aa.ine se bhī un ko nikāl ke
phaTkār aisī khaa.ī hai ab mujh faqīr se
duniyā karegī baat magar muñh sañbhāl ke
hiltī hai maiñ jo Tek lagā.ūñ to kyā bhalā
dīvār ḳhvāb dekhegī chīte kī khaal ke
kuchh baḌbaḌā rahe haiñ parinde ye ḳhvāb meñ
yā patte sarsarāne lage phir se Daal ke
shāyad Tale kisī se shab-e-hijr kī balā
ham ne to apnī tarh se dekhā hai Taal ke
khichḌī abhī banī nahīñ hai 'ishq kī magar
daane nikalne lag ga.e chāval meñ daal ke
kuchh uTh ga.e haiñ she'r tire sun ke ab yahāñ
baiThe haiñ shā.eqīn ye merī dhamāl ke
chaukhaT pe Thoñk dī hai bataur-e-nazar-guzar
sāhab haiñ mo'taqid baḌe ghoḌe kī naal ke
tārīḳh ham ko yaad karegī qurūn tak
ham log haiñ zamāna-e-qaht-ur-rijāl ke
ye jo havas hai aag hai is aag meñ 'shafaq'
jalte haiñ ḳhvāb tāza-nihāloñ kī chhāl ke
lagga na khate zawiye the KHadd-o-KHal ke
dekha hai aaine se bhi un ko nikal ke
phaTkar aisi khai hai ab mujh faqir se
duniya karegi baat magar munh sanbhaal ke
hilti hai main jo Tek lagaun to kya bhala
diwar KHwab dekhegi chite ki khaal ke
kuchh baDbaDa rahe hain parinde ye KHwab mein
ya patte sarsarane lage phir se Dal ke
shayad Tale kisi se shab-e-hijr ki bala
hum ne to apni tarh se dekha hai Tal ke
khichDi abhi bani nahin hai 'ishq ki magar
dane nikalne lag gae chawal mein dal ke
kuchh uTh gae hain she'r tere sun ke ab yahan
baiThe hain shaeqin ye meri dhamal ke
chaukhaT pe Thonk di hai bataur-e-nazar-guzar
sahab hain mo'taqid baDe ghoDe ki nal ke
tariKH hum ko yaad karegi qurun tak
hum log hain zamana-e-qaht-ur-rijal ke
ye jo hawas hai aag hai is aag mein 'shafaq'
jalte hain KHwab taza-nihaalon ki chhaal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.