lagi jo der mujhe aapko manane mein
lagī jo der mujhe aap ko manāne meñ
jhijhak rahā thā maiñ apne ḳhilāf jaane meñ
tamām 'umr yahī soch kar rahā ḳhāmosh
lagā hai koī mirā sabr āzmāne meñ
nahīñ hai yuuñ to kisī kaam kā dil-e-nākām
lagā huā huuñ ise kaam kā banāne meñ
vahāñ khule meñ na uThtā thā āsmān kā bojh
yahāñ surang banātā huuñ qaid-ḳhāne meñ
jo sach kaheñ to hameñ koī ġham nahīñ lekin
'ajīb sukh hai udāsī ke giit gaane meñ
lagi jo der mujhe aap ko manane mein
jhijhak raha tha main apne KHilaf jaane mein
tamam 'umr yahi soch kar raha KHamosh
laga hai koi mera sabr aazmane mein
nahin hai yun to kisi kaam ka dil-e-nakaam
laga hua hun ise kaam ka banane mein
wahan khule mein na uThta tha aasman ka bojh
yahan surang banata hun qaid-KHane mein
jo sach kahen to hamein koi gham nahin lekin
'ajib sukh hai udasi ke git gane mein
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 113)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.