lagta hai magar aankh ka dhoka nahin hota
lagtā hai magar aañkh kā dhoka nahīñ hotā
hotā hai kabhī vo bhī jo sochā nahīñ hotā
bhijvā.e kabhī phuul to ḳhud aatā nahīñ hai
ḳhud aa.e to baḌh kar koī tohfa nahīñ hotā
hotā hai hazāroñ meñ koī ek yahāñ yuuñ
hone se jahāñ jis ke akelā nahīñ hotā
kuchh beloñ kī bantī nahīñ bārish se ziyāda
kuchh bātoñ pe ronā kabhī achchhā nahīñ hotā
ham ret pe likh lete haiñ har zaḳhm kī tārīḳh
agle kā namakdān bhī giilā nahīñ hotā
ab kis ke liye kurte yā saaḌī kā takalluf
ab aisī ḳharīdārī pe ḳharcha nahīñ hotā
kaam aate haiñ aksar vahī fehrist meñ number
kaam aane kī ḳhātir jinheñ rakkhā nahīñ hotā
lagta hai magar aankh ka dhoka nahin hota
hota hai kabhi wo bhi jo socha nahin hota
bhijwae kabhi phul to KHud aata nahin hai
KHud aae to baDh kar koi tohfa nahin hota
hota hai hazaron mein koi ek yahan yun
hone se jahan jis ke akela nahin hota
kuchh belon ki banti nahin barish se ziyaada
kuchh baaton pe rona kabhi achchha nahin hota
hum ret pe likh lete hain har zaKHm ki tariKH
agle ka namakdan bhi gila nahin hota
ab kis ke liye kurte ya saDi ka takalluf
ab aisi KHaridari pe KHarcha nahin hota
kaam aate hain aksar wahi fehrist mein number
kaam aane ki KHatir jinhen rakkha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.