Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahr us aankh mein lahrai jo be-zari ki

Sajjad Baluch

lahr us aankh mein lahrai jo be-zari ki

Sajjad Baluch

MORE BYSajjad Baluch

    lahr us aañkh meñ lahrā.ī jo be-zārī

    ham ne hañste hue phir kuuch tayyārī

    mujh ko jis raat samundar ne utārā ḳhud meñ

    maiñ ne us raat bhī sāhil taraf-dārī

    ham ne girye ko bhī ādāb ke andar rakkhā

    apne a.asāb pe vahshat na kabhī taarī

    naqsh-e-pā DhūñDhtā phirtā hai sahar vo bhī

    jis pe ik raat bhī guzrī nahīñ bedārī

    raushnī parda-e-mizgāñ se chhinī jaatī hai

    kis ne ye ḳhvāb-gah-e-dil meñ ziyā-bārī

    dil meñ bhar laayā huuñ mahrūmī-e-duniyā 'sajjād'

    aaj bāzār se phir maiñ ne ḳharīdārī

    lahr us aankh mein lahrai jo be-zari ki

    hum ne hanste hue phir kuch ki tayyari ki

    mujh ko jis raat samundar ne utara KHud mein

    main ne us raat bhi sahil ki taraf-dari ki

    hum ne girye ko bhi aadab ke andar rakkha

    apne aasab pe wahshat na kabhi tari ki

    naqsh-e-pa DhunDhta phirta hai sahar ka wo bhi

    jis pe ek raat bhi guzri nahin bedari ki

    raushni parda-e-mizgan se chhini jati hai

    kis ne ye KHwab-gah-e-dil mein ziya-bari ki

    dil mein bhar laya hun mahrumi-e-duniya 'sajjad'

    aaj bazar se phir main ne KHaridari ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now