Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke

Rahi Quraishi

lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke

Rahi Quraishi

MORE BYRahi Quraishi

    lahū āñkhoñ meñ raushan hai ye manzar dekhnā ab ke

    dayār-e-ġham meñ kyā guzrī hai ham par dekhnā ab ke

    añdherā hai vahī lekin rivāyat vo nahīñ baaqī

    charāġhoñ jagah hāthoñ meñ ḳhanjar dekhnā ab ke

    sulagte ghar chingārī bhī badla lene vaalī hai

    ye manzar dekhnā lekin sambhal kar dekhnā ab ke

    shikast-o-fat.h tārīḳh likkhī jā.egī yuuñ bhī

    tahī-dastī se hogā mā'rka sar dekhnā ab ke

    shanāsā.ī ke saa.e baḌh ga.e sahn-e-rifāqat meñ

    hamārī pusht meñ paivast ḳhanjar dekhnā ab ke

    zamīñ ko phir lahū baḳhshā gayā hai be-gunāhoñ

    sitam ke har shajar ko phir samar-var dekhnā ab ke

    sukūt-e-shab meñ āñkheñ band hoñgī jab darīchoñ

    koī saaya nazar aa.egā dar dar dekhnā ab ke

    chhalakne vaalī hai ye chashm-e-vīrāñ ek din 'rāhī'

    sulagte dasht meñ koī samundar dekhnā ab ke

    lahu aankhon mein raushan hai ye manzar dekhna ab ke

    dayar-e-gham mein kya guzri hai hum par dekhna ab ke

    andhera hai wahi lekin riwayat wo nahin baqi

    charaghon ki jagah hathon mein KHanjar dekhna ab ke

    sulagte ghar ki chingari bhi badla lene wali hai

    ye manzar dekhna lekin sambhal kar dekhna ab ke

    shikast-o-fath ki tariKH likkhi jaegi yun bhi

    tahi-dasti se hoga ma'rka sar dekhna ab ke

    shanasai ke sae baDh gae sahn-e-rifaqat mein

    hamari pusht mein paiwast KHanjar dekhna ab ke

    zamin ko phir lahu baKHsha gaya hai be-gunahon ka

    sitam ke har shajar ko phir samar-war dekhna ab ke

    sukut-e-shab mein aankhen band hongi jab darichon ki

    koi saya nazar aaega dar dar dekhna ab ke

    chhalakne wali hai ye chashm-e-viran ek din 'rahi'

    sulagte dasht mein koi samundar dekhna ab ke

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 633)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now