Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu mein Dubta manzar KHilaf rahta hai

Khursheed Akbar

lahu mein Dubta manzar KHilaf rahta hai

Khursheed Akbar

MORE BYKhursheed Akbar

    lahū meñ Dūbtā manzar ḳhilāf rahtā hai

    amīr-e-shahr ḳhanjar ḳhilāf rahtā hai

    yazīd-e-vaqt ko duniyā qubūl kar le magar

    sināñ nok pe ik sar ḳhilāf rahtā hai

    sulagtī pyaas ne kar hai morcha-bañdī

    isī ḳhatā pe samundar ḳhilāf rahtā hai

    mire usuul ke bachche bhī ehtajājī haiñ

    zarā jhukūñ to mirā ghar ḳhilāf rahtā hai

    maiñ chāhtā huuñ ki dushman ko surḳh-rū kar duuñ

    magar safed kabūtar ḳhilāf rahtā hai

    hai e'timād mujhe phāvḌoñ tāqat par

    bas itnī baat se patthar ḳhilāf rahtā hai

    ajab tarah tabī.at milī hai ḳhud-sar ko

    ki do jahān se 'akbar' ḳhilāf rahtā hai

    lahu mein Dubta manzar KHilaf rahta hai

    amir-e-shahr ka KHanjar KHilaf rahta hai

    yazid-e-waqt ko duniya qubul kar le magar

    sinan ki nok pe ek sar KHilaf rahta hai

    sulagti pyas ne kar li hai morcha-bandi

    isi KHata pe samundar KHilaf rahta hai

    mere usul ke bachche bhi ehtajaji hain

    zara jhukun to mera ghar KHilaf rahta hai

    main chahta hun ki dushman ko surKH-ru kar dun

    magar safed kabutar KHilaf rahta hai

    hai e'timad mujhe phawDon ki taqat par

    bas itni baat se patthar KHilaf rahta hai

    ajab tarah ki tabiat mili hai KHud-sar ko

    ki do jahan se 'akbar' KHilaf rahta hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Khursheed Akbar

    Khursheed Akbar

    Source:

    Samundar Khilaf Rahta Hai (Pg. ebook-13 page-11)

    • Author: Khursheed Akbar
      • Edition: 1994
      • Publisher: Asari Sang-e-Meel Publication, Patna
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now