Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lahu uchhaalte lamhon ka silsila nikla

Nusrat Gwaliari

lahu uchhaalte lamhon ka silsila nikla

Nusrat Gwaliari

MORE BYNusrat Gwaliari

    lahū uchhālte lamhoñ silsila niklā

    mujhe pahuñchnā kahāñ thā kahāñ maiñ aa niklā

    jahāñ safed gulāboñ ḳhvāb thā raushan

    vahāñ siyāh pahāḌoñ silsila niklā

    bahāv tez thā dariyā chand lamhoñ meñ

    mirī nigāh had se vo duur niklā

    tilism TuuTā jab us ke hasīn lahje

    mirī umiid ke bar-aks faisla niklā

    na jaane kab se maiñ us ke qarīb thā lekin

    baġhaur dekhā to sadiyoñ fāsla niklā

    jo lamha lamha judā kar rahā thā ḳhud se mujhe

    mire vajūd ke andar vo chhupā niklā

    samajh rahe the jise ham barāt manzar

    qarīb ke jo dekhā to hādsa niklā

    lahu uchhaalte lamhon ka silsila nikla

    mujhe pahunchna kahan tha kahan main aa nikla

    jahan safed gulabon ka KHwab tha raushan

    wahan siyah pahaDon ka silsila nikla

    bahaw tez tha dariya ka chand lamhon mein

    meri nigah ki had se wo dur ja nikla

    tilism TuTa jab us ke hasin lahje ka

    meri umid ke bar-aks faisla nikla

    na jaane kab se main us ke qarib tha lekin

    baghaur dekha to sadiyon ka fasla nikla

    jo lamha lamha juda kar raha tha KHud se mujhe

    mere wajud ke andar hi wo chhupa nikla

    samajh rahe the jise hum baraat ka manzar

    qarib ja ke jo dekha to hadsa nikla

    Source:

    Sab Khwab (Pg. 62)

    • Author: Nusrat Gwaliory
      • Edition: 1998
      • Publisher: Nusrat Gwaliory, Tahzeeb Urdu 5071, Kucha Rahman Pandit, Chandni Chouck, Delhi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now