Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan

Afzal Parvez

laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan

Afzal Parvez

MORE BYAfzal Parvez

    lailā sar-ba-garebāñ hai majnūñ āshiq-e-zār kahāñ

    hiir duhā.ī detī hai rāñjhe yār-e-ġhār kahāñ

    apnā ḳhūn-e-jigar piite haiñ tujh ko duā.eñ dete haiñ

    tere maiḳhāne meñ saaqī ham bāda-ḳhvār kahāñ

    hijr zulm hamārī qismat vasl daulat ġhair maal

    zaḳhm kise aur marham kis ko dard kahāñ hai qarār kahāñ

    hijr zulm hamārī qismat vasl daulat ġhair maal

    zaḳhm kise aur marham kis ko dard kahāñ hai qarār kahāñ

    pīr-e-muġhāñ kyā kam thā mohtasiboñ bhī ab daḳhl huā

    miinā par kyā guzregī sar phoḌeñge mai-ḳhvār kahāñ

    sunte haiñ ki chaman mahke bulbul chahke ban lahke haiñ

    apne nasheman tak jo na pahuñchī aisī bahār bahār kahāñ

    kunj-e-mehan hai dār-o-rasan hai zulmat hai tanhā.ī hai

    kaun hai ham-safaro le aa.ī talāsh-e-yār kahāñ

    gul-chīnoñ ko aaj chaman-bandī da.avā hai 'parvez'

    ab dekheñ luT kar biktā hai kalī kalī siñghār kahāñ

    laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan

    hir duhai deti hai ranjhe sa yar-e-ghaar kahan

    apna KHun-e-jigar pite hain tujh ko duaen dete hain

    tere maiKHane mein saqi hum sa baada-KHwar kahan

    hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal

    zaKHm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan

    hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal

    zaKHm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan

    pir-e-mughan kya kam tha mohtasibon ka bhi ab daKHl hua

    mina par kya guzregi sar phoDenge mai-KHwar kahan

    sunte hain ki chaman mahke bulbul chahke ban lahke hain

    apne nasheman tak jo na pahunchi aisi bahaar bahaar kahan

    kunj-e-mehan hai dar-o-rasan hai zulmat hai tanhai hai

    kaun si ja hai ham-safaro le aai talash-e-yar kahan

    gul-chinon ko aaj chaman-bandi ka dawa hai 'parwez'

    ab dekhen luT kar bikta hai kali kali ka singhaar kahan

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 293)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now