Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakhnau shahr mein sab kuchh hai dil-awez yahan

Harshit Mishra

lakhnau shahr mein sab kuchh hai dil-awez yahan

Harshit Mishra

MORE BYHarshit Mishra

    lakhna.ū shahr meñ sab kuchh hai dil-āvez yahāñ

    fikr 'harshit' huī aur bhī zarḳhez yahāñ

    un takmīl na ho paa.ī alag baat magar

    kis āñkheñ na huiiñ ḳhvāb se labrez yahāñ

    us ne taḳhlīq-e-suḳhan ke liye baḳhshā hai qalam

    ham bhī karte nahīñ tanqīd se parhez yahāñ

    sher kahnā bhī to mushkil hai tire hijr ke baad

    pen kahīñ baks kahīñ lamp kahīñ mez yahāñ

    vahshateñ naach rahī haiñ yahāñ chāroñ jānib

    shahr shahr lagtā hai junūñ-ḳhez yahāñ

    ham se sambhleñge nahīñ aap tārīf ke pul

    aur chaltī haiñ havā.eñ bhī bahut tez yahāñ

    lakhnau shahr mein sab kuchh hai dil-awez yahan

    fikr 'harshit' ki hui aur bhi zarKHez yahan

    un ki takmil na ho pai alag baat magar

    kis ki aankhen na huin KHwab se labrez yahan

    us ne taKHliq-e-suKHan ke liye baKHsha hai qalam

    hum bhi karte nahin tanqid se parhez yahan

    sher kahna bhi to mushkil hai tere hijr ke baad

    pen kahin baks kahin lamp kahin mez yahan

    wahshaten nach rahi hain yahan chaaron jaanib

    shahr ka shahr hi lagta hai junun-KHez yahan

    hum se sambhlenge nahin aap ki tarif ke pul

    aur chalti hain hawaen bhi bahut tez yahan

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now