Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laKHt-e-jigar to apne yak-laKHt ro chuka tha

Meer Taqi Meer

laKHt-e-jigar to apne yak-laKHt ro chuka tha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    laḳht-e-jigar to apne yak-laḳht ro chukā thā

    ashk-e-faqat jhamkā āñkhoñ se lag rahā thā

    dāman meñ aaj dekhā phir laḳht maiñ le aayā

    TukḌā koī jigar palkoñ meñ rah gayā thā

    us qaid-e-jeb se maiñ chhoTā junūñ daulat

    varna galā ye merā juuñ tauq meñ phañsā thā

    musht-e-namak ḳhātir is vāste huuñ hairāñ

    kal zaḳhm-e-dil nihāyat dil ko mire lagā thā

    ai gard-bād mat de har aan arz-e-vahshat

    maiñ bhī kasū zamāne is kaam meñ balā thā

    bin kuchh kahe sunā hai aalam se maiñ ne kyā kyā

    par ne yuuñ na jaanā ai bevafā ki kyā thā

    rotī hai sham.a itnā har shab ki kuchh na pūchho

    maiñ soz-e-dil ko apne majlis meñ kyuuñ kahā thā

    shab zaḳhm-e-sīna uupar chhiḌkā thā maiñ namak ko

    nāsūr to kahāñ thā zālim baḌā maza thā

    sar maar kar huā thā maiñ ḳhaak us galī meñ

    siine pe mujh ko us mazkūr naqsh-e-pā thā

    so baḳht-e-tīra se huuñ pāmālī-e-sabā meñ

    us din ke vāste maiñ kyā ḳhaak meñ milā thā

    ye sar-guzasht merī afsāna jo huī hai

    mazkūr us us ke kūche meñ jā-ba-jā thā

    sun kar kisī se vo bhī kahne lagā thā kuchh kuchh

    be-dard kitne bole haañ us ko kyā huā thā

    kahne lagā ki jaane merī balā azīzāñ

    ahvāl thā kisī kuchh maiñ bhī sun liyā thā

    āñkheñ mirī khulīñ jab 'mīr' gayā tab

    dekhe se us ko varna merā bhī jalā thā

    laKHt-e-jigar to apne yak-laKHt ro chuka tha

    ashk-e-faqat ka jhamka aankhon se lag raha tha

    daman mein aaj dekha phir laKHt main le aaya

    TukDa koi jigar ka palkon mein rah gaya tha

    us qaid-e-jeb se main chhoTa junun ki daulat

    warna gala ye mera jun tauq mein phansa tha

    musht-e-namak ki KHatir is waste hun hairan

    kal zaKHm-e-dil nihayat dil ko mere laga tha

    ai gard-baad mat de har aan arz-e-wahshat

    main bhi kasu zamane is kaam mein bala tha

    bin kuchh kahe suna hai aalam se main ne kya kya

    par tu ne yun na jaana ai bewafa ki kya tha

    roti hai shama itna har shab ki kuchh na puchho

    main soz-e-dil ko apne majlis mein kyun kaha tha

    shab zaKHm-e-sina upar chhiDka tha main namak ko

    nasur to kahan tha zalim baDa maza tha

    sar mar kar hua tha main KHak us gali mein

    sine pe mujh ko us ka mazkur naqsh-e-pa tha

    so baKHt-e-tira se hun pamali-e-saba mein

    us din ke waste main kya KHak mein mila tha

    ye sar-guzasht meri afsana jo hui hai

    mazkur us ka us ke kuche mein ja-ba-ja tha

    sun kar kisi se wo bhi kahne laga tha kuchh kuchh

    be-dard kitne bole han us ko kya hua tha

    kahne laga ki jaane meri bala azizan

    ahwal tha kisi ka kuchh main bhi sun liya tha

    aankhen meri khulin jab ji 'mir' ka gaya tab

    dekhe se us ko warna mera bhi ji jala tha

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0119

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now