Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamha-e-rafta ka dil mein zaKHm sa ban jaega

Saleem Ahmed

lamha-e-rafta ka dil mein zaKHm sa ban jaega

Saleem Ahmed

MORE BYSaleem Ahmed

    lamha-e-rafta dil meñ zaḳhm ban jā.egā

    jo na pur hogā kabhī aisā ḳhalā ban jā.egā

    ye na.e naqsh-e-qadam mere bhaTakne se bane

    log jab in par chaleñge rāsta ban jā.egā

    guuñj sunñī ho to tanhā vādiyoñ meñ chīḳhiye

    ek āvāz se ik silsila ban jā.egā

    jazb kar de merī miTTī meñ latāfat mizāj

    phir vo tere shahr āb-o-havā ban jā.egā

    khīñch lā.egī bagūloñ ko ye vīrānī mirī

    merī tanhā.ī se merā qāfila ban jā.egā

    us meñ lau rakh dūñgā maiñ jalte hue ehsās

    lafz jo hoñToñ se niklegā diyā ban jā.egā

    jugnuoñ mash.aloñ se sahn dīvār par

    raqs kartī raushnī dā.era ban jā.egā

    talḳhiyāñ ehsās jab ḳhuun meñ ghul jā.eñgī

    merā chehra mere ġham aa.ina ban jā.egā

    ik brahman ne ye aa ke sehan-e-masjid meñ kahā

    ishq jis patthar ko chhū le vo ḳhudā ban jā.egā

    ek sīdhī baat hai milnā na milnā ishq meñ

    is pe sochoge to ye bhī mas.ala ban jā.egā

    mere siine meñ abhī ik jazba-e-benām hai

    zabt karte karte harf-e-mudda.ā ban jā.egā

    dil meñ jo kuchh hai vo kah do dost se varna 'salīm'

    harf-e-nā-gufta diloñ fāsla ban jā.egā

    lamha-e-rafta ka dil mein zaKHm sa ban jaega

    jo na pur hoga kabhi aisa KHala ban jaega

    ye nae naqsh-e-qadam mere bhaTakne se bane

    log jab in par chalenge rasta ban jaega

    gunj sunni ho to tanha wadiyon mein chiKHiye

    ek hi aawaz se ek silsila ban jaega

    jazb kar de meri miTTi mein latafat ka mizaj

    phir wo tere shahr ki aab-o-hawa ban jaega

    khinch laegi bagulon ko ye virani meri

    meri tanhai se mera qafila ban jaega

    us mein lau rakh dunga main jalte hue ehsas ki

    lafz jo honTon se niklega diya ban jaega

    jugnuon ki mashalon se sahn ki diwar par

    raqs karti raushni ka daera ban jaega

    talKHiyan ehsas ki jab KHun mein ghul jaengi

    mera chehra mere gham ka aaina ban jaega

    ek brahman ne ye aa ke sehan-e-masjid mein kaha

    ishq jis patthar ko chhu le wo KHuda ban jaega

    ek sidhi baat hai milna na milna ishq mein

    is pe sochoge to ye bhi masala ban jaega

    mere sine mein abhi ek jazba-e-benam hai

    zabt karte karte harf-e-muddaa ban jaega

    dil mein jo kuchh hai wo kah do dost se warna 'salim'

    harf-e-na-gufta dilon ka fasla ban jaega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    lamha-e-rafta ka dil mein zaKHm sa ban jaega Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now