aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamha lamha wusat-e-kaun-o-makan ki sair ki

Dilawar Ali Aazar

lamha lamha wusat-e-kaun-o-makan ki sair ki

Dilawar Ali Aazar

MORE BYDilawar Ali Aazar

    lamha lamha vus.at-e-kaun-o-makāñ sair

    aa gayā so ḳhuub maiñ ne ḳhāk-dāñ sair

    ek lamhe ke liye tanhā nahīñ hone diyā

    ḳhud ko apne saath rakkhā jis jahāñ sair

    tujh se mil kar aaj andāza huā hai zindagī

    pahle jitnī vo goyā rā.egāñ sair

    niiñd se jaage haiñ koī ḳhvāb bhī dekhā hai kyā

    dekhā hai to boliye shab-bhar kahāñ sair

    thak gayā thā maiñ badan meñ rahte rahte ek din

    bhaag niklā aur kar āsmāñ sair

    yaad hai ik ek gosha naqsh hai dil par hanūz

    sair to vo hai jo shahr-e-dil-barāñ sair

    phuul hairat se hameñ dekhā kiye vaqt-e-visāl

    gul-badan ke saath 'āzar' gulsitāñ sair

    lamha lamha wusat-e-kaun-o-makan ki sair ki

    aa gaya so KHub main ne KHak-dan ki sair ki

    ek lamhe ke liye tanha nahin hone diya

    KHud ko apne sath rakkha jis jahan ki sair ki

    tujh se mil kar aaj andaza hua hai zindagi

    pahle jitni ki wo goya raegan ki sair ki

    nind se jage hain koi KHwab bhi dekha hai kya

    dekha hai to boliye shab-bhar kahan ki sair ki

    thak gaya tha main badan mein rahte rahte ek din

    bhag nikla aur ja kar aasman ki sair ki

    yaad hai ek ek gosha naqsh hai dil par hanuz

    sair to wo hai jo shahr-e-dil-baran ki sair ki

    phul hairat se hamein dekha kiye waqt-e-visal

    gul-badan ke sath 'azar' gulsitan ki sair ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now