Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamhon ke ishaare mein jafa dekh ke chup hai

Jafar Sahni

lamhon ke ishaare mein jafa dekh ke chup hai

Jafar Sahni

MORE BYJafar Sahni

    Interesting Fact

    (Tahreer, June 2009)

    lamhoñ ke ishāre meñ jafā dekh ke chup hai

    kis vāste har ġham ko ḳhudā dekh ke chup hai

    bādal riyāsat meñ sisaktā ujālā

    shab-tāb ma.asūm ziyā dekh ke chup hai

    dahshat ke havāle se pareshān kabhī thā

    har shāḳh meñ ab phuul khilā dekh ke chup hai

    sarsabz libāde meñ sajā.e thā jo sapnā

    chehre abhī rañg uḌā dekh ke chup hai

    dil-shād manāzir ke ahāte meñ zamāna

    māyūs tasavvur ko khaḌā dekh ke chup hai

    dastak kabhī tūfān pur-josh thī 'ja.afar'

    bikhrī huī ḳhushbū ridā dekh ke chup hai

    lamhon ke ishaare mein jafa dekh ke chup hai

    kis waste har gham ko KHuda dekh ke chup hai

    baadal ki riyasat mein sisakta sa ujala

    shab-tab ki masum ziya dekh ke chup hai

    dahshat ke hawale se pareshan kabhi tha

    har shaKH mein ab phul khila dekh ke chup hai

    sarsabz libaade mein sajae tha jo sapna

    chehre ka abhi rang uDa dekh ke chup hai

    dil-shad manazir ke ahate mein zamana

    mayus tasawwur ko khaDa dekh ke chup hai

    dastak kabhi tufan ki pur-josh thi 'jafar'

    bikhri hui KHushbu ki rida dekh ke chup hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now