Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

larzan tarsan manzar chup

Yaqoob Yawar

larzan tarsan manzar chup

Yaqoob Yawar

MORE BYYaqoob Yawar

    larzāñ tarsāñ manzar chup

    ārmīda ghar ghar chup

    ye kaisī hai rāh-barī

    raahī chup to rahbar chup

    gopī-chandar Duub gayā

    sahmā harā samundar chup

    dushman-e-īmāñ pesh-e-nazar

    andar halchal bāhar chup

    naqqālī par nāzāñ thā

    shā.ir dekh ke bandar chup

    raat meñ kyā kyā aish hue

    tanhā maiñ thā bistar chup

    halkī phulkī ek ġhazal

    mahfil barham 'yāvar' chup

    larzan tarsan manzar chup

    aarmida ghar ghar chup

    ye kaisi hai rah-bari

    rahi chup to rahbar chup

    gopi-chandar Dub gaya

    sahma hara samundar chup

    dushman-e-iman pesh-e-nazar

    andar halchal bahar chup

    naqqali par nazan tha

    shair dekh ke bandar chup

    raat mein kya kya aish hue

    tanha main tha bistar chup

    halki phulki ek ghazal

    mahfil barham 'yawar' chup

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 803)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now