Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lau mere dil ne zara us se lagai hi nahin

Alka Mishra

lau mere dil ne zara us se lagai hi nahin

Alka Mishra

MORE BYAlka Mishra

    lau mire dil ne zarā us se lagā.ī nahīñ

    maiñ ne chāhat kabhī jot jagā.ī nahīñ

    raushnī ruuh tak aa.ī hai to aa.ī kaise

    jab ki us tak to mirī koī rasā.ī nahīñ

    apnī rau meñ huuñ bahe jaatī huuñ naddī tarah

    pattharoñ ko maiñ kabhī dhyān meñ laa.ī nahīñ

    kaise ban jaate haiñ sab kaam ye bigḌe mere

    ek nekī to abhī maiñ ne kamā.ī nahīñ

    ḳhud-ba-ḳhud jhuk ga.iiñ dar par tire nazreñ merī

    ye nigah maiñ ne kahīñ aur jhukā.ī nahīñ

    kaise chup-chāp chale aate haiñ nīñdoñ meñ mirī

    maiñ ne ḳhvāboñ ko to āvāz lagā.ī nahīñ

    us ummīd abhī se maiñ lagā luuñ kaise

    apnī hastī to abhī maiñ ne miTā.ī nahīñ

    lau mere dil ne zara us se lagai hi nahin

    main ne chahat ki kabhi jot jagai hi nahin

    raushni ruh tak aai hai to aai kaise

    jab ki us tak to meri koi rasai hi nahin

    apni rau mein hun bahe jati hun naddi ki tarah

    pattharon ko main kabhi dhyan mein lai hi nahin

    kaise ban jate hain sab kaam ye bigDe mere

    ek neki to abhi main ne kamai hi nahin

    KHud-ba-KHud jhuk gain dar par tere nazren meri

    ye nigah main ne kahin aur jhukai hi nahin

    kaise chup-chap chale aate hain nindon mein meri

    main ne KHwabon ko to aawaz lagai hi nahin

    us ki ummid abhi se main laga lun kaise

    apni hasti to abhi main ne miTai hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now