Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lauh-e-imkan pe hasti ka bharam khulta hai

Mohammad Mukhtar Ali

lauh-e-imkan pe hasti ka bharam khulta hai

Mohammad Mukhtar Ali

MORE BYMohammad Mukhtar Ali

    lauh-e-imkān pe hastī bharam khultā hai

    jaane kab uqda-e-maujūd-o-adam khultā hai

    rang-o-āhang bhī hote haiñ vahāñ dast darāz

    us parī-zād jab bāb-e-karam khultā hai

    shaam hote yahāñ āmad-e-mahtāb ke saath

    ḳhāna-e-dil meñ tirī yaad ġham khultā hai

    ham koī baat tayaqqun se nahīñ kah sakte

    ham pe asrār-e-zamāna abhī kam khultā hai

    yuuñ bikharte haiñ ḳhayāloñ meñ tire husn ke rang

    dasht par jaise kisī abr nam khultā hai

    ḳhatra-e-jāñ hai rah-e-ishq meñ lekin 'muḳhtār'

    rāh-e-dushvār pe chalne se qadam khultā hai

    lauh-e-imkan pe hasti ka bharam khulta hai

    jaane kab uqda-e-maujud-o-adam khulta hai

    rang-o-ahang bhi hote hain wahan dast daraaz

    us pari-zad ka jab bab-e-karam khulta hai

    sham hote hi yahan aamad-e-mahtab ke sath

    KHana-e-dil mein teri yaad ka gham khulta hai

    hum koi baat tayaqqun se nahin kah sakte

    hum pe asrar-e-zamana abhi kam khulta hai

    yun bikharte hain KHayalon mein tere husn ke rang

    dasht par jaise kisi abr ka nam khulta hai

    KHatra-e-jaan hai rah-e-ishq mein lekin 'muKHtar'

    rah-e-dushwar pe chalne se qadam khulta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now