Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lazzat-e-ehsas-e-gham se dil ko bahlate rahe

Zain Ramish

lazzat-e-ehsas-e-gham se dil ko bahlate rahe

Zain Ramish

MORE BYZain Ramish

    lazzat-e-ehsās-e-ġham se dil ko bahlāte rahe

    kuchh adhūre ḳhvāb the rah rah ke yaad aate rahe

    manzil-e-ġhurbat meñ pīchhe rah ga.e hushyār log

    ham divāne the bagūloñ meñ bhī itrāte rahe

    luTne vāloñ se mizāj-e-shām-e-ġhurbat pūchhiye

    un ko kyā mālūm jo tūfāñ se katrāte rahe

    rasm-o-rāh-e-nau-bahārāñ kis qadar dilchasp hai

    kuchh kalī khiltī rahī kuchh phuul murjhāte rahe

    kyā ḳhabar raste meñ kis ne ruup kyā dhārā miyāñ

    mehrbāñ vaqt-e-safar to rang barsāte rahe

    rone vaale baiThe baiThe vaqt ko royā kiye

    chalne vaale āñdhiyoñ meñ bhī chale jaate rahe

    bhāgte jaate haiñ ab shām-e-nazar se duur duur

    muddatoñ tak jo dhuñdalke ġham ko raas aate rahe

    ham to saarī raat 'nāzish' bazm meñ the dam-ba-ḳhud

    log andāz-e-taġhāful qasam khāte rahe

    lazzat-e-ehsas-e-gham se dil ko bahlate rahe

    kuchh adhure KHwab the rah rah ke yaad aate rahe

    manzil-e-ghurbat mein pichhe rah gae hushyar log

    hum diwane the bagulon mein bhi itraate rahe

    luTne walon se mizaj-e-sham-e-ghurbat puchhiye

    un ko kya malum jo tufan se katraate rahe

    rasm-o-rah-e-nau-bahaaran kis qadar dilchasp hai

    kuchh kali khilti rahi kuchh phul murjhate rahe

    kya KHabar raste mein kis ne rup kya dhaara miyan

    mehrban waqt-e-safar to rang barsate rahe

    rone wale baiThe baiThe waqt ko roya kiye

    chalne wale aandhiyon mein bhi chale jate rahe

    bhagte jate hain ab sham-e-nazar se dur dur

    muddaton tak jo dhundalke gham ko ras aate rahe

    hum to sari raat 'nazish' bazm mein the dam-ba-KHud

    log andaz-e-taghaful ki qasam khate rahe

    Source:

    Hareem-e-Shauq (Pg. 52)

    • Author: Nazish Sahsarami
      • Publisher: Zain Ramish
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now