Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

le kar hijr ki pahli talKHi chalta hai

Rana Abdurrab

le kar hijr ki pahli talKHi chalta hai

Rana Abdurrab

MORE BYRana Abdurrab

    le kar hijr pahlī talḳhī chaltā hai

    dekhte haiñ ki kab tak farvarī chaltā hai

    maiñ kahtā huuñ tuf hai aise jiine par

    saañs pahiya tere bin bhī chaltā hai

    achchhā terā rasta dekhnā hai maiñ ne

    achchhā banda le kar naukrī chaltā hai

    us ke qurb meñ rah kar jaanā jhuuT hai ye

    khoTā sikka ik din lāzmī chaltā hai

    tere aane par to bārish aatī hai

    saarā shahr le kar chhatrī chaltā hai

    jiine ko bhī jiinā kahnā Thiik nahīñ

    saañs chalnā bhī to farzī chaltā hai

    chaar dinoñ meñ thak kar vāpas jaatā hai

    chaar dinoñ meñ kitnā aadmī chaltā hai

    paidā hone vaalā maut ke daftar se

    le kar apnī qabr taḳhtī chaltā hai

    vaqt ziin pe baiThnā 'abdul' nā-mumkin

    ham kāhil haiñ aur ye jaldī chaltā hai

    le kar hijr ki pahli talKHi chalta hai

    dekhte hain ki kab tak farwari chalta hai

    main kahta hun tuf hai aise jine par

    sans ka pahiya tere bin bhi chalta hai

    achchha tera rasta dekhna hai main ne

    achchha banda le kar naukri chalta hai

    us ke qurb mein rah kar jaana jhuT hai ye

    khoTa sikka ek din lazmi chalta hai

    tere aane par to barish aati hai

    sara shahr hi le kar chhatri chalta hai

    jine ko bhi jina kahna Thik nahin

    sans ka chalna bhi to farzi chalta hai

    chaar dinon mein thak kar wapas jata hai

    chaar dinon mein kitna aadmi chalta hai

    paida hone wala maut ke daftar se

    le kar apni qabr ki taKHti chalta hai

    waqt ki zin pe baiThna 'abdul' na-mumkin

    hum kahil hain aur ye jaldi chalta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now