le ke dil phir na humse wo bole
le ke dil phir na ham se vo bole
apne matlab ke haiñ baḌe bhole
kyā yahī hai adā-e-kam-suḳhanī
band āñkheñ hoñ jab vo lab khole
sub.h-e-ruḳhsat savāl-e-bosa par
bole jā muñh to peshtar dhole
kitnī nā-fahm hai tirī tasvīr
sar se khele na muñh se kuchh bole
vaqt se pahle uḌ nahīñ saktā
tā.ir-e-rūh laakh par tole
chashma-e-faiz chashm-e-giryāñ se
zarre zarre ne haiñ guhar role
ḳhuub kar ulfat-e-mizha 'sultān'
ḳhuub kāñTe tū raah meñ bo le
le ke dil phir na hum se wo bole
apne matlab ke hain baDe bhole
kya yahi hai ada-e-kam-suKHani
band aankhen hon jab wo lab khole
subh-e-ruKHsat sawal-e-bosa par
bole ja munh to peshtar dhole
kitni na-fahm hai teri taswir
sar se khele na munh se kuchh bole
waqt se pahle uD nahin sakta
tair-e-ruh lakh par tole
chashma-e-faiz chashm-e-giryan se
zarre zarre ne hain guhar role
KHub kar ulfat-e-mizha 'sultan'
KHub kanTe tu rah mein bo le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.