Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

le liya diwangi ne ek farzane ka rang

Sardar Panchhi

le liya diwangi ne ek farzane ka rang

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    le liyā dīvāngī ne ek farzāne rang

    chūmte sham.a ko nikhrā hai parvāne rang

    ham-safar merī bhī ik mumtāz hai jis ke tufail

    aagre ke taaj hai mere kāshāne rang

    ai mire saaqī haTā de ruḳh se parda ek baar

    dhuñdlā dhuñdlā lag rahā hai aaj maiḳhāne rang

    sāhira hai terī qurbat dekh le ḳhud nāznīñ

    dekhte bantā hai ab to tere dīvāne rang

    aap tasvīr siine se lagā luuñ ai sanam

    is se behtar hogā kyā is dil ko bahlāne rang

    le liya diwangi ne ek farzane ka rang

    chumte hi shama ko nikhra hai parwane ka rang

    ham-safar meri bhi ek mumtaz hai jis ke tufail

    aagre ke taj sa hai mere kashane ka rang

    ai mere saqi haTa de ruKH se parda ek bar

    dhundla dhundla lag raha hai aaj maiKHane ka rang

    sahira hai teri qurbat dekh le KHud naznin

    dekhte banta hai ab to tere diwane ka rang

    aap ki taswir sine se laga lun ai sanam

    is se behtar hoga kya is dil ko bahlane ka rang

    Source:

    Ghair Muslim Ghazalgo (Pg. 53)

      • Publisher: Syed Naushad Ali
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now