le uDa rang falak jalwa-e-ranai ka

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

le uDa rang falak jalwa-e-ranai ka

Chandar Bhan Kaifi Dehelvi

MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi

  le uḌā rañg falak jalva-e-ra.anā.ī

  aks hai qaus-e-quzah meñ tirī añgḌā.ī

  is qadar naaz hai kyuuñ aap ko yaktā.ī par

  dūsrā naam hai ye bhī mirī tanhā.ī

  ajab andāz se kuchh mohr-e-ḳhamoshī TuuTī

  vasf paidā huā tasvīr meñ goyā.ī

  khul rahā hai tirī rahmat badaulat varna

  kaun thā dekhne vaalā gul-e-sahrā.ī

  ho ga.ī mere gunāhoñ siyāhī maqbūl

  sañg-e-asvad pe chaḌhā rañg jabīñ-sā.ī

  sūrat-e-yās se ā.īna-e-hairat ho kar

  dekhte rah ga.e chehra vo tamannā.ī

  be-ḳhudī dekh ke merī sar-e-mahfil pūchhā

  naam mash.hūr hai 'kaifī' isī sahbā.ī

  le uDa rang falak jalwa-e-ranai ka

  aks hai qaus-e-quzah mein teri angDai ka

  is qadar naz hai kyun aap ko yaktai par

  dusra nam hai ye bhi meri tanhai ka

  ajab andaz se kuchh mohr-e-KHamoshi TuTi

  wasf paida hua taswir mein goyai ka

  khul raha hai teri rahmat ki badaulat warna

  kaun tha dekhne wala gul-e-sahrai ka

  ho gai mere gunahon ki siyahi maqbul

  sang-e-aswad pe chaDha rang jabin-sai ka

  surat-e-yas se aaina-e-hairat ho kar

  dekhte rah gae chehra wo tamannai ka

  be-KHudi dekh ke meri sar-e-mahfil puchha

  nam mashhur hai 'kaifi' isi sahbai ka

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY