Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

leTa hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur

Altaf Mashhadi

leTa hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur

Altaf Mashhadi

MORE BYAltaf Mashhadi

    leTā huā huuñ sāya-e-ġhurbat meñ ghar se duur

    dil se qarīñ haiñ ahl-e-vatan aur nazar se duur

    jab tak hai dil rahīn-e-ma.āl-o-asīr-e-aql

    rahnā hai tujh se aur tirī rahguzar se duur

    ai kaif un mast nigāhoñ meñ chhup ke aa

    ai dard-e-dam zadan meñ ho mere jigar se duur

    ik din ulaTne vaalī hai zāhid bisāt-e-zohd

    kab tak rahegā dil nigah-e-fitna-gar se duur

    vo koī zindagī hai javānī hai vo koī

    ai dost jo hai tere jamāl-e-nazar se duur

    kyā aa.ī tere meñ ki taqdīr yuuñ mujhe

    pheñkā hai ke vādī-e-ġhurbat meñ ghar se duur

    ai husn-e-be-panāh batā.e koī mujhe

    duniyā kaun chiiz hai tere asar se duur

    allāh re nasīb ki paa.ī hai vo fuġhāñ

    jo umr bhar rahī hai fareb-e-asar se duur

    'altāf' naaz apnī gadā.ī pe hai mujhe

    dāman hai us sāya-e-la.al-o-gohar se duur

    leTa hua hun saya-e-ghurbat mein ghar se dur

    dil se qarin hain ahl-e-watan aur nazar se dur

    jab tak hai dil rahin-e-maal-o-asir-e-aql

    rahna hai tujh se aur teri rahguzar se dur

    ai kaif un ki mast nigahon mein chhup ke aa

    ai dard-e-dam zadan mein ho mere jigar se dur

    ek din ulaTne wali hai zahid bisat-e-zohd

    kab tak rahega dil nigah-e-fitna-gar se dur

    wo koi zindagi hai jawani hai wo koi

    ai dost jo hai tere jamal-e-nazar se dur

    kya aai tere ji mein ki taqdir yun mujhe

    phenka hai la ke wadi-e-ghurbat mein ghar se dur

    ai husn-e-be-panah batae koi mujhe

    duniya ki kaun chiz hai tere asar se dur

    allah re nasib ki pai hai wo fughan

    jo umr bhar rahi hai fareb-e-asar se dur

    'altaf' naz apni gadai pe hai mujhe

    daman hai us ka saya-e-lal-o-gohar se dur

    Source:

    Tasveer-e-Ehsas (Pg. 262)

    • Author: Altaf Mashhadi
      • Publisher: Urdu Academy Punjab, Lahore
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now