Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

libas gard ka aur jism nur ka nikla

Aqeel Shadab

libas gard ka aur jism nur ka nikla

Aqeel Shadab

MORE BYAqeel Shadab

    libās gard aur jism nuur niklā

    tamām vahm apne shu.ūr niklā

    jo apne aap se baḌh kar hamārā apnā thā

    use qarīb se dekhā to duur niklā

    badan ke paar utarte khul ga.iiñ āñkheñ

    surāġh tere sarāpā se tuur niklā

    sabhī nishāniyāñ us shaḳhs par kharī utrīñ

    jo bhuul kar bhī kabhī zikr huur niklā

    uThe jo haath mirī sañgsāriyoñ ke liye

    har ek dast-e-ināyat huzūr niklā

    na-jāne bhuul gayā kaun kab kahāñ likh kar

    miTā naqsh maiñ bainassutūr niklā

    jo daana daana fanā fasl-e-ārzū huā

    tamām fitna malaḳh aur mor niklā

    giraft-e-fan se na āzād ho sakā 'shādāb'

    ḳhayāl-e-tāza karishma bahūr niklā

    libas gard ka aur jism nur ka nikla

    tamam wahm hi apne shuur ka nikla

    jo apne aap se baDh kar hamara apna tha

    use qarib se dekha to dur ka nikla

    badan ke par utarte hi khul gain aankhen

    suragh tere sarapa se tur ka nikla

    sabhi nishaniyan us shaKHs par khari utrin

    jo bhul kar bhi kabhi zikr hur ka nikla

    uThe jo hath meri sangsariyon ke liye

    har ek dast-e-inayat huzur ka nikla

    na-jaane bhul gaya kaun kab kahan likh kar

    miTa sa naqsh main bainassutur ka nikla

    jo dana dana fana fasl-e-arzu ka hua

    tamam fitna malaKH aur mor ka nikla

    giraft-e-fan se na aazad ho saka 'shadab'

    KHayal-e-taza karishma bahur ka nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now