Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

likh ke tahrir mohabbat ki miTai usne

Shamim Danish

likh ke tahrir mohabbat ki miTai usne

Shamim Danish

MORE BYShamim Danish

    likh ke tahrīr mohabbat miTā.ī us ne

    haa.e kis dil se chhurī dil pe chalā.ī us ne

    ḳhūb-sūrat mirī āñkhoñ ye dhokā sahī

    merī tasvīr to siine se lagā.ī us ne

    vo jo ab taaq pe ḳhāmosh diyā rakkhā hai

    rāt-bhar hai añdheroñ se laḌā.ī us ne

    chand lamhe sahī chashm-e-'ināyat se magar

    donoñ 'ālam mujhe sair karā.ī us ne

    kar ke be-laus mohabbat se kināra merī

    kyā 'azīzo mire paa.ī hai ḳhudā.ī us ne

    'umr-bhar maiñ sazā kāTne vaalā thā magar

    jaane kyā soch ke de hai rihā.ī us ne

    jis ko dekho vahī dīvāna banā phirtā hai

    aisī tasvīr hai dp meñ lagā.ī us ne

    haar to merī usī vaqt huī ai 'dānish'

    kar liyā apnī taraf jab mirā bhaa.ī us ne

    likh ke tahrir mohabbat ki miTai us ne

    hae kis dil se chhuri dil pe chalai us ne

    KHub-surat meri aankhon ka ye dhoka hi sahi

    meri taswir to sine se lagai us ne

    wo jo ab taq pe KHamosh diya rakkha hai

    raat-bhar ki hai andheron se laDai us ne

    chand lamhe hi sahi chashm-e-'inayat se magar

    donon 'alam ki mujhe sair karai us ne

    kar ke be-laus mohabbat se kinara meri

    kya 'azizo mere pai hai KHudai us ne

    'umr-bhar ki main saza kaTne wala tha magar

    jaane kya soch ke de di hai rihai us ne

    jis ko dekho wahi diwana bana phirta hai

    aisi taswir hai dp mein lagai us ne

    haar to meri usi waqt hui ai 'danish'

    kar liya apni taraf jab mera bhai us ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now