likhi tausif chun chun kar pari-ruon ke til til ki

likhi tausif chun chun kar pari-ruon ke til til ki
Mirza Sultan Dehlvi
MORE BYMirza Sultan Dehlvi
likhī tausīf chun chun kar parī-rūoñ ke til til kī
nazar aatī hai nuqte nuqte se vahshat mire dil kī
khiñchī khiñch kar uThī uTh kar chalī shamshīr qātil kī
baḌī mushkil se mushkil hal huī hai merī mushkil kī
kisī ko kānoñ kānoñ bhī ḳhabar kuchh ho nahīñ saktī
zarā sī baat hai tum maan bhī lo ab mire dil kī
mire ik qatl se haiñ hasrateñ kis kis kī vābasta
chhurī kī tiir kī shamshīr kī ḳhanjar kī qātil kī
likhi tausif chun chun kar pari-ruon ke til til ki
nazar aati hai nuqte nuqte se wahshat mere dil ki
khinchi khinch kar uThi uTh kar chali shamshir qatil ki
baDi mushkil se mushkil hal hui hai meri mushkil ki
kisi ko kanon kanon bhi KHabar kuchh ho nahin sakti
zara si baat hai tum man bhi lo ab mere dil ki
mere ek qatl se hain hasraten kis kis ki wabasta
chhuri ki tir ki shamshir ki KHanjar ki qatil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.